Saturday, May 16, 2015


Ahmadabad se shuru hui journey shiyan  pahuch chuki h. India ke PM shri Narendra modi ji is time china mai h.


Upar ke do lines se hi man mai dhero questions aane lagte h.
India aur china dono ke relationship  najuk daur se gujre h aur ek ladai bhi ladi h jo bharat ke lie ek horrible dream ki treh h.


Purani bato ko side mai rakh dia jae to dekhte h ki   aaj India aur china ki kya jarurate h.



China ki economy mai break lag gya h,ab vo utni speed se grow nhi kar h.china ko ab dusre partners ki jarurat h.vo apna paisa invest karna chahta h,china ke pass 4 trillion $ ki foreign currency h.jo usko ek strong economic  country ki line mai khada karti h.

China ko lagta h ki USA usko charo taraf se gher rha h so usko naye partners ki need h.india uske lie accha option h. itne bade consumer  market ko  china khona bhi nhi chahega.




India ki baat ki jae to india n china ke realtion panchsheel principle par based h. Jo nehru ji ke time par banaye gye the.India ne modi government mai more than 12 big countries ki journey ki h china journey is one of them. Is bar India n china ne 12 agreement par sign kiye h approx 63 thousands cr.
India bhi make in india ka nara lekar china gya h.India apne yahan invest chata h n china is time other countries mai invest karna chahta h.





Conclusion ye h ki china ka behavior   ab badal rha h jo negativity and collision ka mahole bana tha ab vo kam ho rha h.Both country ab international boundary dispute(Vivad) se aage nikalna chahte h. Hum to yhi wish karenge ki modi ji koi acchi news lekar aaaye jisse asia ki do powerful country global level par apne aap ko proof kar sake.
Jay Hind

Akash Gupta